Sunday 6 November 2011

SIX POINTS OF TABLEEGHI JAMAT...!!!

ALLAH raste me nikalkar 6 baaton par amli mashq karenge to Insha ALLAH hamara deen par chalna asaan ho jayega.....Yeh 6 baatein yeh hain :

1. IMAAN yani KALIMA " La ilaha illal lahu muhammadur RasulAllah"
2. NAMAZ
3. ILM r ZIQR
4. IKRAM-e-MUSLIM
5. IKHLASE NIYAT
6. DAWAT o TABLIGH

PARHEZ K TAUR PAR LAYANI BAATON SE BACHNA.......


1. IMAAN :
                   Imaan ka bol hai KALIMA"Laa ilaha illal lahu muhammadur rasul ALLAH -Tarzuma -Nahin hai koi mabood siwaye ALLAH k aur Hazrat Muhammad Sallal Laahu Alaihi wasallam ALLAH k Rasul hain" Isse yeh chaha ja raha hai ki hamare dil ka yaqeen sahi ho jaye; "Ki kisi se kuch nahin hota hai r sab kuch 1 ALLAH se hota hai aur Janabe Rasul Ullah Muhammad Sallal lahu alaihi wasallam k tariqon par Duniya aur Aakhirat dono jahan ki kamyabi hai.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Qamil imaan ki ummat me chalfirkar Dawat dena.
2. Mashq - Allah ki qudrat par gaur aur fiqr karna aur apni dawat k baad us k baare me dil se kahna ki                        yeh ki jo dawat maine di hai wo haq hai aur sach hai.
3. Dua - Imaan ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH hame Imaan
              ki haqiqat ata farma.

2. NAMAZ :
                     Namaz se yeh chaha ja raha hai ki hamare andar sifate salat paida ho jaye aur hum ALLAH k khazane se barahe rast lenewale ban jayen.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Qamil Namaz ki ummat me chalfirkar Dawat dena.
2. Mashq - Namaz k zahir aur batin ko malum karke inhe apni namaz me paida karna .NAMAZ ka
                   ZAHIR yeh hai ki,WAZU se lekar SALAM pherne tak tamam maselon ko sikhkar ada karna
                   NAMAZ ka BATIN yeh hai ki jab hum namaz padhe to is dhyan k saath padhe ki
                   Hum ALLAH ko dekh rahe hain agar yeh kaifiyat paida na ho to kum se kum yeh
                   to zarur dhyan me rakhe ki ALLAH to hame dekh hi raha hai.                  
3. Dua -   NAMAZ ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu
                hame bhi maqbool namaz ki taufiq ata farma.


3. ILM aur ZIQR :
                               ILM se yeh chaha ja raha hai ki hum haal k amr ko pehchannewale ban jayen ki jis haal me hum hain is waqt ALLAH hum se kya chahta hai.Asal ILM to QABR k 3 sawalon ka hai.....baki saare ILM duniya kamane ka fun hai........jisse duniya ban sakti hai magar aakhirat nahin.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Hum deen k nisbat se jo bhi ilm rakhte hain uski ummat me chalfirkar Dawat dena.
2. Mashq -  ILM 2 tarah ka hota hai ; (1) MASAEL wala ILM (2) FAZAIL wala ilm
                   (1)Masailwala ilm Ulema ki majlison se hasil karen (2) Fazailwala ilm Taalim k halqo
                   se haasil karen.                      
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu
                hame ILM NAAFE ata farma.

ZIQR :
           Ziqr se yeh chaha ja raha hai hamare andar ALLAH ka dhyan paida ho jaye aur hum ALLAH ki ibadat ALLAH k dhyan k saath karnewale ho jaye.ALLAH ka dhyan hoga to humse gunaah nahin honge warna ALLAH k ghar yani masjid me bhi bachna mushkil hai.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar khub ziqr ki fazilat bayan karke unhe iski Dawat dena.
2. Mashq - Ziqr ka mashq yeh hai ki,Hum Quran ki tilawat khub karen,Ise sikhen bhi aur
                  sikhaye bhi,3 Tasbihaat ki pabandi rozana karen Jisme 100 bar 3 Kalima,
                  100 Darud Shareef,100 Bar Astaghfar padhen.....Saath hi saath Masnoon
                  Duaon ka bhi ehtimam karen.....                              
3. Dua -   Ziqr ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu
                hame bhi apne ziqr ki taufiq ata farma.


4. IQRAME MUSLIM :
                                      Isse yeh chaha ja raha hai ki hamare andar Isaar,Hamdardi aur Ghamkhwari ka jazba paida ho jaye.Hum Badon ki Izzat,Choton par Shafqat aur Ulema e Deen ki qadar karne wale ban jaye.Hum na sirf musalmanon ki balki gair-musalmano ki izzat karne wale ho taki is ummat me jod paida ho sake,Hum apne haq ki riyayat karte huye dusron k haq ko pooch-pooch kar ada karnewale ban jayen.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar unhe Iqram ki daawat dena aur apne akhlaq ko sabse accha banane ki
                    koshish karna.
2. Mashq -  Hum SALAAM me pehal karnewale hon aur SALAAM ko khub aam karnewale hon,jab koi beemar ho to uski ayadat kane jayen,koi pareshan ho to uski tajiyat me jayen,aas pados walon ki khair khairiat lete rahe.Sabse muhabbat karen.              
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu
                hame bhi dusron ka iqram karnewala bana de.


5. IKHALS e NIYAT :
                                   Isse yeh chaha ja raha hai ki hum jo bhi MEK amal karen khalis ALLAH ko razi karne k liye karen,Naam o Namood,Shohrat aur kisi ko dikhlawe k liye na kren.ALLAH tamam amaalon me se usi amal ko qubul karte hain jo khalis unhi k liye kiya gaya ho.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar Ikhlas ki Dawat dena.
2. Mashq - Iska mashq yeh hai ki apne har amal k shuru me,beech me aur aakhir me yeh gaur karna ki
                  hum jo amal kar rahen hain kiske liye karne ja rahe hain,kiske liye kar rahen hain,
                  aur hamne yeh amal kiske liye kiya.   
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu
                hame har nek amal khalis teri raza k liye ikhlas k saath karne ki taufiq ata farma.


6. DAWAT o TABLIGH :
                                        Isse yeh chaha ja raha hai ki ALLAH ka diya hua JAAN,MAAL aur WAQT ka sahi istemal ho jaye.Aur yeh sab kuch ALLAH k huqmon ke mutabiq kharch ho jaye,Qki ALLAH ne hamare JAAN,MAAL ko Jannat k badle me pehle hi khareed liya hai,hum pehle se hi bike huye hain,hamara kuch bhi nahin hai.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar Dawat dena.

2. Mashq -  Iska mashq yeh hai ki hum apni puri zindagi me himmat karke 1 baar apni mashguli se waqt nikalkar ALLAH k raasten me 4 mahina lagayen,Phir iske baad Har Saal 40 Din ALLAH k raasten me nikle r deen seekhen,Har Mahina 27 din khub jam kar halal tarike se rozi kamayen aur 3 din ALLAH k deen k liye nikalen,Masjid k 5 aamalon me apne aapko shaamil karen.Jisme (1) Rozana Masjid ki taalim me fikron k saath baithe r is niyat k saath jayen ki agar hum nahin jayenge to aaj masjid me taalim nahin ho payegi (2)Ghar me bhi taalim ko zinda karen qki hamari MAA-BEHNON ka bhi masla hai,Mard se jyada aurten hain aurton se jyada Bacchhe hain....Unki fikar kaoun karega hum to masjid me aakar deen ki baat sun lete hain hamari ghar ki Masturat ka kya hoga wo kahan jayengi,Unke saath bhi Qabr aur Hashr ka masala hoga.(3)Mashwaron ki bhi fiqron k saath pabandi karen aur apni mohalle basti k logon ko masjid wale aamal main jodne kai aitbaar se mashwara karen. (4) Rozana 2 1/2 Hrs. Fajar k baad ya jab bhi apko waqt mile mohalle me chal firkar logon se mulaqaten karke unhe deen ki daawat de,chahe wo apki baat maane ya na maane rozana sabko dawat dain.DAWAT,TAALIM aur ISTEQBAAL k saath. (5) Hafte me 2 Gasht karen 1 apni Masjid ka aur 1 Pados ki dusri Masjid ka jahan mashware se tay ho jaaye. Yaad raken 2 Gasht milakar 1 Gasht hota hai,tabhi puri majduri milegi.
                       
3. Dua - ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu hame bhi apne deen k raste k liye qabool farma aur hame bhi deen ka kaam karne ki taufiq ata farma.


LAYANI SE BACHNA :
                                     Parhez k taur par layani baton aur kamon se yanio fazul baton aur kamon se apne ko bachana taki hamari NEKIYON ki hifazat ho jaye.



ALLAH HUM SABKO APNE DEEN KI MEHNAT K LIYE ISTEQAMAT K SAATH MAUT TAK K LIYE QABOOL FARMAYE.......AMEEEN

13 comments: